lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu ashvathama – xponent b

Loading...

[verse 1]
kaise meri shuruaat hui
main jalta sa angaar koi
jo door g*yi mujhse tu aise
jaata na hai khaas koi
main rabb se maangu rehem
sehen na hota karta paap koi
jo chheen gya tujhko hai mujhse
karna hai ab paap wo hi
main ladta firu system se aage
khoje kaatil ye nigaahein
kaisa ye kaanoon yahaan
jo dikhta hai bs usko kaate
aakhri hai ye raasta
ab na kisi se mera waasta
meri aatma hai ab ro rahi
tujhe yaad kar meri aastha !!

[chorus]
kehte mujhko ashvathama
karta hoon main khoon kharaba
mujhse kya takraoge
main chalta jaata chalta jaata x2

[verse 2]
ye baat hai jazbaat ki
mere kho chuke ehsaas ki
kyun khoya khudko kosu har pal
aaye na vo jo paas thi
kyun raat bhar meri jaan par
bane dushman kuch na jaan kar
ab karna hai bas faisla
main hi court ab insaaf kar
yaha karta dharta har ik banda
taskari j*smo ki yaha ik dhandha
karta tha talaash laash ab
jal g*ya raavan jal g*yi lanka
main kalyug ka ashvathama
band kar daala khoon kharaba
saunp daala maine khudko ab toh
utrega mere gale se niwaala !!
[chorus]
kehte mujhko ashvathama
karta hoon main khoon kharaba
mujhse kya takraoge
main chalta jaata chalta jaata x2

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...