lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu musafir – yashraj

Loading...

[chorus]
kyu musafiron mein
dhoonde khaamiyaan tu?
goonje vaadiyon se
log sareaam
tu hairan, pareshaan kyu?
haan musafir hu mein!
jaanta kaabil hu mein!
jeetna zaahir toh fir
chhod tu anjaam
pehle jaan tu anjaan nai hai
[verse 1]
mooh chala raha, wo avaara jo bhi bola, banta naara
jo pitaara bin sahaara khula, bolta hi jaa raha
pehla gaana likha, socha ye mein hui nai
faade panne bhadaas mein, wo bol mujhe chhue nai
pehchaan mein nai aa raha wo saamne kaun hai aine mein!
ghaate mein imaan, agar likh raha tu faayde se
maayne samajh tu apne bol ke, saare parde kholde
saamne honge 10 ya hazaar tu bas bol
(bol bol bol bol bol)

ladka wo mota sa, baitha tha jabhi school mein
likhta kitaabo ke peeche na kabhi bhool se
harkatein aisi galat cheezon se mashhoor the
tajurbe ki koi baat nai, bas khudse kaafi door the
doosri mein hindi fail, ab aake wo padhaae paath
pehle tha bada hi shaant
baje ab kadhai saath
kaisi ye ladai mere bhai, bas ek hi savaal?

[chorus]
kyu musaafiron mein
dhoonde khaamiyaan tu?
goonje vaadiyon se
log sareaam
tu hairan, pareshaan kyu?
haan musafir hu mein!
jaanta kaabil hu mein!
jeetna zaahir toh fir
chhod tu anjaam
pehle jaan tu anjaan nai hai
musafiron ki aadatein ajeeb si
[verse 2]
na ek jagah thikaana, sab chhodenge bas naseeb pe hi
iska matlab nai ke kare nai karm
teri ye khokhli imaartein banaa dete ghar
par shaayad
tujhe laga mooh pe hasi hai bohot
isko toh mila sabh asaani se
ye likhna bas shauk
mein kehta
aankhon ke saamne jab jeete tum khauf
tabhi toh laggte saare hard rapper kaafi hi soft
mein hasta mooh pe
poochhu kaise chheenenge ye asliyat?
rapper zyaada dost nai, but jo bhi hai, they call me up!
aisa na koi paida hua jiski poori saaf neeyat
toh mein bhi jaanta kaun hai mere bhai aur baaki jo bhi ho! haan
ye sar mein chhapte zindagi ke panne aur hum likhte jaate
fir unhi panno pe ho dastakhat aur fir bikke khaate
wo toote vaade bas guzarne pe hi laut aane
se achha ki jeete jee tum karlo baatein!

aaj tere saamne khada hu!
mujhe kal ka pata nahi
humaari nayi shuruaat hai?
yaa meri aakhri kahaani?
aaj tere saamne khada hu!
mujhe kal ka pata nahi
humaari nayi shuruaat hai?
yaa meri aakhri kahaani?
aaj tere saamne khada hu

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...