lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu yaadein – fanindra bhardwaj

Loading...

yaadein

teri yaadein mujhko tadpaayein
teri saansein mujhmein samaayein
teri yaadein mujhko tadpaayein

tu jo sath nahi
kuchh bhi ab yaad nahin
tu tha mera tere
hone ka ahsaas nahin
in baaton mein ab
pahle jaisi baat nahin
mujhe hona ab
fir barbaad nahin
kisse tere mujhe yun
tadpaate hain
dard tere mujhe
andar se kha jaate hain
main fir karna chahun
tujhpe bharosa
aur waade tere mujhko
khokhla kar jaate hain
teri baatein suli pe chadhaye mujhe
dard tera zinda dafnaaye mujhe
main chahun tujhe fir yaad karna
badlе mein teri baddua lag jaye mujhе
han baddua lag jaye mujhe
baddua lag jaye mujhe
main chahun tujhe fir yaad karna
aur badle mein teri baddua lag jaye mujhe
teri yaadein mujhko tadpaayein

teri karamat
kyun main likh ke bataun
han likhi sari baatein
kyun main haath se mitun
main vo bhulun sari baatein
ya fir chikh ke sunaun
jab tu hai kisi aur ki
to hak kyun jataun
yun hin aake tere pichhe
kyun main khud ko mitau
han tu hi ye bata
kyun main khudko sataun
duniya jamane se main
kho hi chuka hun
tu jo kahe to
kya fana main ho jaun

tujhse puchhun main swal
mujhko dena tu jwab
kyun hain todi meri nindein
kyun hai. tode mere khwab
mujhe chahie jawaab
mujhe chahiye hisaab
teri batein to hain juthi
kyun main karun benakaab
teri soch hai kharab
dokhe karti behisaab
kitni nindein tune todi
kitne tode tune khwab
teri yaadein mujhko tadpaayein
teri saansein mujhmein samaayein

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...